Benaam sa ye dard thahar kyun nahin jaata
A beautiful but touching song which tries to depict the state of a father who lost his son in a battle for the country.
This song is from a movie ( "Dhoop") based on a real life incident, A heart touching story of a struggle of parents of a kargil martyr against the existing corrupt system.
hey !! I am not writing the review as i know i am the least good in it. So the song is as follows :
Benaam sa yeh dard
thahar kyon nahi jaata
jo beet gaya hai vo
guzar kyon nahi jaata
benaam sa yeh ...
Sab kuch to hai kya dhoondti
rahti hain nigaahein
Kya baat hai main
waqt pe ghar kyoon nahi jaata
jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jaata
Vo ek hi chahra to
nahi saare jahan main
Jo door hai vo dil se
utar kyon nahi jata
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
benaam sa yeh....
Main apni hi uljhi hui
raahon ka tamasha
Jaate hai jidhar sab
main udhar kyoon nahi jata
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
Vo naam jo barson se
na chehra hai na badan hai
vo khwab agar hai to
bikhar kyoon nahi jata
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
benaam sa yeh....
0 Comments:
Post a Comment
<< Home